Powered By Blogger

Tuesday 14 November 2023

ek bachpan ka zamana tha,

Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana tha; 

Chahat chand ko paane ki thi, par dil titli ka deewana tha.

Khabar na thi kuch subah ki, na shaam ka thikana tha; 

Thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha.

Maa ki kahani thi pariyon ka fasana tha; 

Barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha.

Har khel mein saathi the har rishta nibhana tha; 

Gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi, na hansne ka bahana tha; 

Kyon ho gaye hum itne bade, isse achha to 
woh bachpan ka zamana tha....

🍧 👭 🍬 👬 🍭 👫 🍨

Happy Children's Day

No comments:

Post a Comment